Instagram

Chula



Ek khani hai maire bachpan ki,
Kuch yaade hai jo laut aae hai,
Kuch yaad aajae tho bata dena,
Aakho mai aasu aae tho hata dena. 

Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae tho bata dena
Aaj bhook lagi hai maa, aisa shor machaya tha,
Ki maa ne mujhe aaj chule ki pass bithaya tha,
Hatho mai lakdi leye maine, muh pe chuppi lagai thi,
Kitna alaga the wo drishya jub maine chule mai aag jalai thi

Thand ka mausam tha tho aaj subne rasoi mai dera jamaya tha,
Bhook tho ab bhaut lagi thi, pr sub ko sath dekh aaj maan bhar aaya tha,
Bahane tho bhaut the pr aaj chule ne hume sath bethaya tha.

Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae tho bata dena

kuch he palo mai jaise palat se gai thi tasveer,
Ab takdeliya nazar aane lagi the,
lakdio se koile tk ka safar wo tey kr aae thi.
Dar is baat ka the ki khi ye chule ki aag fir se bujh na jaae,
Badi mushkil se sath bethe hai kahi fir se apno ka sath choot na jaae.. 

Ab sehm sa gaya tha mer dil, hale dil shyed baya bhi na kr paau,
Aag ab bujh se gai thi, charo taraf dhuva he dhuva tha,
Aakho mai nami the bus ek he baat ki kami thi,
Chule mai fir se aag jalaae jae, fir se sub kaise pass bulaya jaae.

Fir maano ek chamatkar sa huva,
Maa ne un koilo mai fook ke fir aag ko bhadkaya tha,
Ab chaat sa gaya tha andhera, fir umeed jagaae thi,
Maano kise ne marte huve ko apni saas de kr maut k mu se khich lae thi,

Kuch khas tha wo manzar,
jub chule ne hume sath bethaya tha.

Ab dhuva tho chhat chukka tha, Chere pe muskaan fir laut aae hai.

Aakhe aaj fir num hai,
Kyu ki aaj fr chula dekh mujhe un sub ki yaad aae hai.
Pr shyed aaj fir sub Dhuve mai maano sub kho se gai hai

Ek khanai hai maire bachpan ki..
Kuch yaad aajae the bata dena

Comments

Popular posts from this blog

Navratri – The Nine-day festival.

Trip to Poladpur